Saturday, June 30, 2018
Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon
Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Bhikhari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai
Bhikhari wo jise hirs-o-hawas ne maar dala hai
Mataa-e-deen-o-danish nafs ke hathon se lutwa kar
Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadhwa kar
Luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal me
Sahara lene aya hoon tere kaabe ke aanchal me
Gunahon ki lipat se qaynat-e-qalb afsurda,
Irade muzmahil, himmat shikasta, housle murda
Kahan se laaun taqat dil ki sachhi tarjumani ki
Ke kis jhanjhal me guzri hain ghadiyan zindgani ki
Khulasa ye ke bas jal bhun ke apni roo-siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se
Tere darbar me laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laiq har amal se hath hain khali
Ye tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula
Sarapa noor hai ek mohabbat-e-anwaar hai maula
Teri chokhat ke jo adaab hain main un se khali hun
Nahi jisko saleeqa mangne ka wo sawaali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki naakas tarjumaani per
Khudaya raham meri iss zabaan-e-ijz-zabani par
Ye aakhen khushk hain, yaa rab inhe rona nahi aata
Sulagte daag hain dil me, jinhe dhona nahi aata
Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Friday, June 29, 2018
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara
Sar gashta-o-darmanda be-himmat-o-nakara
Warafta-o-sargardan be-maya-o-bechara
Warafta-o-sargardan be-maya-o-bechara
Shaitan ka sitam khurdan is nafs ka dukhiyara
Har simt se ghaflat ka ghere hue andhiyara
Har simt se ghaflat ka ghere hue andhiyara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Jazbaat ki maujon me lafzon ki zuban gum hai
‘Alam me tahayyur ka yaraan-e-bayan gum hai
‘Alam me tahayyur ka yaraan-e-bayan gum hai
Mazmoon jo socha tha kya jane kahan gum hai
Aankhon me bhi ashqon ka ab naam-o-nishan gum hai
Aankhon me bhi ashqon ka ab naam-o-nishan gum hai
seene me sulagta hai rah rah ke ek angara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aya hun tere dar par khamosh nawan lekar
Neki se nahi daman ambar-e-khata le kar
Neki se nahi daman ambar-e-khata le kar
Lekin teri chaukhat se ummeed sakha le kar
‘Amal ki zulmat me taubah ki ziya le kar
‘Amal ki zulmat me taubah ki ziya le kar
Seene me talatum hai dil sharm se sahdqara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Ummeed ka markaz ye rahmat se baradar hai
Is ghar ka har ek zarrah rashq-e-mahoakhtar hai
Is ghar ka har ek zarrah rashq-e-mahoakhtar hai
Mahroom nahi koi jis dar se ye wo dar hai
Jo iska bhikhari hai qismat ka sikandar hai
Jo iska bhikhari hai qismat ka sikandar hai
Ye noor ka qulzam hai ye aman ka fawwara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Ye kaaba karishma hai ya rab teri qudrat ka
Har lamha yahan jaari mizab hai rahmat ka
Har lamha yahan jaari mizab hai rahmat ka
Har aan barasta hai un teri sakhawat ka
Mazhar hai ye bandon se khaliq ki muhabbat ka
Mazhar hai ye bandon se khaliq ki muhabbat ka
Is ‘alam-e-pasti me azmat ka ye jobara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Ya rab mujhe duniya me jeene ka kareena de
Mere dil-e-wiran ko ulfat ka khazeena de
Mere dil-e-wiran ko ulfat ka khazeena de
Sailab moasi me ta’at ka safeena de
Hasti ke andheron ko anwar-e-madina de
Hasti ke andheron ko anwar-e-madina de
Phir dahar me phaila de iman ka ujiyara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Ya rab meri hasti par kuchh khas karam farma
Bakhshe hue bando me mujh ko bhi raqam farma
Bakhshe hue bando me mujh ko bhi raqam farma
Bhatke hue raahi ka rukh suye haram farma
Duniya ko ‘ataat se ghulzar-e-iram farma
Duniya ko ‘ataat se ghulzar-e-iram farma
Kar de mere maazi ke har saans ka kaffara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Thursday, June 28, 2018
Har khata pe sharamsar hun main Lyrics
Har khata pe sharamsar hun main
Ae khudaya gunahgar hun main
Jaankar bhoolkar jo kiya hai
Hai pata mujhko uski saza hai
Teri chaukhat pe sar na jhukaya
Bas zamane ko apna banaya
Teri rahmat hi to asra hai
Tujh se kahne ko kuchh na bacha hai
Mere sajdon pe aisi nazar kar
Main andheron me hun tu sahar kar
In duaon me aisa asar de
Rabb-e-kaaba mujhe maaf kar de
Nekiyon se mujhe jod de tu
Phir mera rukh udhar mod de tu
Aisa rasta mujhe tu dikha
Har khata par sharamsar hun main
Ae khudaya gunahgar hun main
Mere sajdon pe aisi nazar kar
Main andheron me tu sahar kar
Maaon se badh ke hai pyar tera
Aur tere siwa kaun mera
Gir na jaun mujhe tu utha
Har khata par sharamsar hun main
Ai khudaya gunahgar hun main
Jankar bhoolkar jo kiya hai
Hai pata mujhko uski saza hai
In duaon me aisa asar de
Rabb-e-kaaba mujhe maaf kar de
Mere ansoon sawali hain tere
Gir rahen hain ye daman pe mere
Ab to sun le meri ae khuda
Har khata par sharamsar hun main
Ai khudaya gunahgar hun main
Jankar bhulkar jo kiya hai
Hai pata mujhko uski saza hai
Teri chaukhat pe sar na jhukaya
Bas zamane ko apna banaya
Teri rahmat hi to asra hai
Tujh se kehne ko kuchh na bacha hai
Mere sajdon pe aisi nazar kar
Main andheron me hun tu sahar kar
In duaon me aisa asar de
Rabb-e-kaaba mujhe maaf kar de
Subscribe to:
Comments (Atom)




