Saturday, July 7, 2018

Dua 17

Ameen

Dua 16


Dua 15

Ameen Summa Ameen

Dua 14

Ameen

Dua 13


Dua 12



Dua 11


Dua 10


Dua 9


Dua 8


Dua 7


Dua 6


Dua 5


Dua 4


Dua 3


Dua 2


Dua 1


Thursday, July 5, 2018

Main bawaqt-e-sahar ik chaman mein gaya Lyrics




Main Bawaqt-e-Sahar ik Chaman mein Gaya
Tehnion pe Khilay Phool thay ja baja
Gul ke Pattay say main ne Suni ye sada
Parh rahay thay wo Shabnam se kar ke wuzoo

Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Phoocha Toor se me ne ke ay bawafa
Kis ke barq-e-Tajalli say tu Jal gaya
Phoocha Toor se me ne ke ay bawafa
Kis ke barq-e-Tajalli se tu Jal gaya
Bola batlaon kia Us jalan ka Maza
Phir use aag ke hay mujhe Justujoo
Bola batlaon kia Us jalan ka Maza
Phir use aag ke hay mujhe Justujoo


Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Main Bawaqt-e-Sahar ik Chaman mein Gaya
Tehnion pe Khilay Phool thay ja baja
Gul ke Pattay say main ne Suni ye sada
Parh rahay thay wo Shabnam se kar ke wuzoo


Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Poocha Bulbul say main ne ke ay batlaa
kis ke Rukhsaar gaalon pe hay tu fidaa
Kis ke gham main hay Teri ye halat tabaah
Boli ankhon se apna baha ke lahoo


Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Main Bawaqt-e-Sahar ik Chaman mein Gaya
Tehnion pe Khilay Phool thay ja baja
Gul ke Pattay say main ne Suni ye sada
Parh rahay thay wo Shabnam se kar ke wuzoo


Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Yeh Zameen Jab na thi Asmaan jab na tha 
Koi yahan jab na tha Koi wahan jab na tha
Parh rahay thay woh sab milkay yeh Roo baru!
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu


Allahooo... Allahooo... Allahooo...
 Allahu  Allahu  Allahu  Allahu


Main Bawaqt-e-Sahar ik Chaman mein Gaya
Tehnion pe Khilay Phool thay ja baja
Gul ke Pattay say main ne Suni ye sada
Parh rahay thay wo Shabnam se kar ke wuzoo

Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Daikha ik Din faqeeron ke Mahfil mein jaa
Tha bichona zameen pe bicha ghass ka
tha hr tarf faqeeron ka Ik Jamghata
kar rahe thay woh sab dil se hu hu huu!

Allahooo...  Allahooo...  Allahooo... 
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu


Main Bawaqt-e-Sahar ik Chaman mein Gaya
Tehnion pe Khilay Phool thay ja baja
Gul ke Pattay say main ne Suni ye sada
Parh rahay thay wo Shabnam se kar ke wuzoo

Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu


Tera khadim hoon lekin Gunahgaar hoon
tu hay bahr-e-karam mein sharamsaar hoon
Tera khadim hoon lekin Gunahgaar hoon
Tu hay bahr e karam mein sharamsaar hoon
Main shafaat-e-nabi ka talabgaar hoon
Tu ne farma diya hay ke laa taknatoo

Allahooo... Allahooo... Allahooo... 
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Main Bawaqt-e-Sahar ik Chaman mein Gaya
Tehnion pe Khilay Phool thay ja baja
Gul ke Pattay say main ne Suni ye sada
Parh rahay thay wo Shabnam se kar ke wuzoo

Allahooo... Allahooo... Allahooo...
Allahu  Allahu  Allahu  Allahu

Main tera faqeer malang Khuda Lyrics


Allah..Allah..Allah..Allah

Allah..Allah..Allah..Allah Main tera faqeer malang khuda Main tera faqeer malang khuda Mujy apny rang main rung khuda Mujy apny rang main rang khuda Khusboo ki tarah har chand rahon Teri muthi main he band rahon Teri yaad se Behar a mand rahon Gum tujh main teri Sughand rahon Dum Dum to Mery sung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Allah..Allah..Allah..Allah Allah..Allah..Allah..Allah Main tera faqeer malang Khuda Main tera faqear malang Khuda Mujy apny rang main rung Khuda Mujy apny rang main rung Khuda Tou din may hy Tou raat may hy Har phool may hy Har paaat (leaf) main hy Meri scoch may Mery lamhaat main hy Meri rooh may hy Meri zaat main hy Tera noor tera Aahang Khuda Tera noor tera Aahang Khuda Mujy apny rang Main rung Khuda Mujy apny rang Main rung Khuda Allah..Allah..Allah..Allah Allah..Allah..Allah..Allah Main tera faqeer Malang khuda Main tera faqeer Malang khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mera zahar undar Jesa ho Manzar pusmanzar Jesa ho Mera ishq sumandar Jesa ho Or Tery peambar Jesa ho Mery jeeny ka Har dhung khuda Mery jeeny ka Har dhung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Allah..Allah..Allah..Allah Allah..Allah..Allah..Allah Main tera faqeer Malang khuda Main tera faqeer Malang khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Teri rehmat Yun apnay mujy Ankhoon pe Aqat bethae mujy Tuj bin ik Sanas na aae mujy Sehtan agar Behkaee mujy Kroon apny ap se Jung khuda Kroon apny ap se Jung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Allah..Allah..Allah..Allah Allah..Allah..Allah..Allah Main tera faqeer Malang khuda Main tera faqeer Malang khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Seena ho mera Sheshay ki tarah Or benaae ho Jarnay ki tarah Awaz b ho Shulay ki tarah Chamkon main Sada heray ki tarah Mujy lagny na pae Zang khuda Mujy lagny na pae Zang khuda Mujy apny rang Main rung khuda Mujy apny rang Main rung khuda Allah..Allah..Allah..Allah Allah..Allah..Allah..Allah

Tuesday, July 3, 2018

Allah karam Allah karam Lyrics


Allah Karam...!!!

Labbayk Labbayk Allahumma Labbayk
Labbayk Labbayk Allahumma Labbayk.....

Hazir hein tere darbar mein ham
Allah karam Allah karam
Deti hai sada ye chashme nam
Allah karam Allah karam



Jin logon pe hai in'aam tera
Un logon mein likh de naam mera
Mehshar mein mera reh jaaye bharam
Allah karam Allah karam

Har saal talab farma mujko
Har saal wo shehar dikha mujko
Har saal karun mein tawafe haram
Allah karam Allah karam

Haibat se har-ek gardan kham hai
Har aankh nadamat se nam hai
Har chehre pe hai ashkon se rakam
Allah karam Allah karam

Meri aane waali sab nasleyn
Tere ghar aayein tera dar dekheyn
Asbaab hon unko ese baham
Allah karam Allah karam

Hazir hein tere darbar mein ham
Allah karam Allah karam
Deti hai sada ye chashme nam
Allah karam Allah karam

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik Lyrics



Madad kar meri Do Jahanon ke Malik
Musibat me meine pukara hai Tujko

Gunahon ke daldal me mein fas gaya hun 
Nikalne ki raahein hui band saari
Wo nayya meri dubti jaa rahi hai
Bacha le use Tu Khuda Wand-e-Baari
Kisi se Koi wasta hi nahin hai
Tera jab se Khalik sahara hai mujko


Musibat me meine pukara hai Tujko

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik

Tera naam Hayy aur Qayyum bhi hai
Tuje nind aati nahin ek pal bhi
Tu hi thamta hai zameen aasman ko
Hawaein bhi hein hukm se tere chaltin
Mujhe thamle aur bachale mujhe Tu
Bahot door lagta kinara hai mujko

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik
Musibat me meine pukara hai Tujko

Tu Raaziq hai sab ka jahanon ke Maalik
Zameen aasman me teri badshahi
Tu hi bakhshta hai dinon ko ujale
Ke raaton ko deta hai Tuhi siyahi
Kushada mera rizq kar de ae Malik
Ye kehne ko dil ne ubhara hai mujhko

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik
Musibat me meine pukara hai Tujko

Teri bandagi to meri zindagi hai
Meri zindagi ka to haasil yahi hai
Mein Sajde pe Sajda kiye jaa raha hun
Ye gardan meri tere dar par jhuki hai
Qalam pher de khud meri har khata par
Mein mit jaaun kese ghawara hai Mujko

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik
Musibat me meine pukara hai Tujko

Tera naam Sattar Gaffar bhi hai
Ye banda to aajiz gunahgar bhi hai
Ilahi mera sar hai sajde me rakkha 
Zuban par meri aaj ikraar bhi hai
Zamane se muh mod kar aa gaya hun
Fakat ek tera sahara hai Mujko

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik
Musibat me meine pukara hai Tujko

Mere haath uthte nahin hein dua ko
Kabhi gair ke dar pe jakar Khudaya
Tu Hajat Rawa hai Tu Mushkil Kusha hai
Isi baat par to mein Imaan laya
Har ek shay hai kabza e qudrat me tere
Ye imaan jaan se bhi pyara hai Mujko

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik
Musibat me meine pukara hai Tujko

Ghussa

Main aur tu



Sara aalam "Hoo" ka hai
Jhagda Main aur Too ka hai

Rishtay...


Monday, July 2, 2018

Always Keep Praying


ALLAH always likes to know again & again what u want.

It's not that He forgets your needs but He loves to feel the sweetness of your prayer.

Dua



                                                        

DUA : Hosla hai
DUA : Muhabbat hai
DUA : Raaz hai
DUA : Hamdardi hai
DUA : Taaqat hai
DUA : Waseela hai



So keep praying and remember me in your prayers as well.

Hai meri yeh dua Lyrics


Hai meri yeh dua, Hai meri yeh dua
Ho karam ki nazar, rahmaten ho ata
Tere bandon ki yeh halaten zaar hai
Ham me ikhlas hai aur nyi saar hai
Jo misali nahin aisa kirdar hai
Ham hain bhatke hue ham ko iqrar hai
Ham pe kar de karam seedha rasta dikha
Hai meri yeh dua, Hai meri yeh dua
Ho karam ki nazar, rahmaten ho ata
Zulm-o-dahshat se maula bacha le hamen
Hain museebat me malik nikale hamen
Pastiyon me gire hain utha le hamen
Kaun tere siwa ab sambhale hamen
Teri rahmat ka hai har ghari aasra
Hai meri yeh dua, Hai meri yeh dua
Ho karam ki nazar, rahmaten ho ata
Tere dar par Junaid aur Kamal aaye hain
Sabki khatir ye daman ko phailaye hain
Shukr hai jo karam tune farmaye hain
Aur bhi ho karam ye dua laaye hain
Bakhsh de har khata nematen kar ata
Hai meri yeh dua, Hai meri yeh dua
Ho karam ki nazar, rahmaten ho ata
Ye watan jo hame tera inaam hai
Iski rooh-e-rawan deen-e-islam hai
Iski jaan tere mahboob ka naam hai
Is watan ki hifazat tera kaam hai
Jo fariza hai apna karen ham ada
Hai meri yeh dua, Hai meri yeh dua
Ho karam ki nazar, rahmaten ho ata

Dil badal jatay hain


Allah kabhi nahi bdalta Balke Wo to dilon me Bas jata hai.

Adhooray Waday



Insaan sb se zyada adhooray waday apnay RAB se karta hai. 

Saturday, June 30, 2018

Mera dil badal day Lyrics


Mera dil badal de, Mera dil badal day
Mera dil badal de, Mera dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Hawa-o-hirs wala dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Khudaya fazl farma dil badal day
Badal de dil ki duniya dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Gunahgaari me kab tak umr kaatun
Badal de mera rasta dil badal day

Sunun main naam tera dhadkanon mein
Maza aa jaye maula dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Hata lun aankh apni Maa-sivaa se
Jiyun main teri khatir dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Karun qurbaan apni sari khushiyan
Tu apna gham ata kar dil badal day
Mera ghaflat me duba dil badal day

Mera dil badal de, Mera dil badal day
Mera dil badal de, Mera dil badal day

Para hoon tere dar par Dil shikasta,
Rahun kyun dil shikasta dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Tera ho jaaun itni aarzoo hai
Bas itni hai tamanna dil badal day

Meri fariyaad sun le mere maula
Banale apna banda dil badal day
Mera ghaflat me dooba dil badal day

Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon

Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Bhikhari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai
Bhikhari wo jise hirs-o-hawas ne maar dala hai
Mataa-e-deen-o-danish nafs ke hathon se lutwa kar
Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadhwa kar
Luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal me
Sahara lene aya hoon tere kaabe ke aanchal me

Gunahon ki lipat se qaynat-e-qalb afsurda,
Irade muzmahil, himmat shikasta, housle murda
Kahan se laaun taqat dil ki sachhi tarjumani ki
Ke kis jhanjhal me guzri hain ghadiyan zindgani ki
Khulasa ye ke bas jal bhun ke apni roo-siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se

Tere darbar me laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laiq har amal se hath hain khali
Ye tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula
Sarapa noor hai ek mohabbat-e-anwaar hai maula
Teri chokhat ke jo adaab hain main un se khali hun
Nahi jisko saleeqa mangne ka wo sawaali hoon

Zuban ghalt-e-nadamat dil ki naakas tarjumaani per
Khudaya raham meri iss zabaan-e-ijz-zabani par
Ye aakhen khushk hain, yaa rab inhe rona nahi aata
Sulagte daag hain dil me, jinhe dhona nahi aata
Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Friday, June 29, 2018

Darbar me hazir hai ek banda-e-awara


Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara

Sar gashta-o-darmanda be-himmat-o-nakara
Warafta-o-sargardan be-maya-o-bechara
Shaitan ka sitam khurdan is nafs ka dukhiyara
Har simt se ghaflat ka ghere hue andhiyara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Jazbaat ki maujon me lafzon ki zuban gum hai
‘Alam me tahayyur ka yaraan-e-bayan gum hai
Mazmoon jo socha tha kya jane kahan gum hai
Aankhon me bhi ashqon ka ab naam-o-nishan gum hai
seene me sulagta hai rah rah ke ek angara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aya hun tere dar par khamosh nawan lekar
Neki se nahi daman ambar-e-khata le kar
Lekin teri chaukhat se ummeed sakha le kar
‘Amal ki zulmat me taubah ki ziya le kar
Seene me talatum hai dil sharm se sahdqara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ummeed ka markaz ye rahmat se baradar hai
Is ghar ka har ek zarrah rashq-e-mahoakhtar hai
Mahroom nahi koi jis dar se ye wo dar hai
Jo iska bhikhari hai qismat ka sikandar hai
Ye noor ka qulzam hai ye aman ka fawwara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ye kaaba karishma hai ya rab teri qudrat ka
Har lamha yahan jaari mizab hai rahmat ka
Har aan barasta hai un teri sakhawat ka
Mazhar hai ye bandon se khaliq ki muhabbat ka
Is ‘alam-e-pasti me azmat ka ye jobara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ya rab mujhe duniya me jeene ka kareena de
Mere dil-e-wiran ko ulfat ka khazeena de
Sailab moasi me ta’at ka safeena de
Hasti ke andheron ko anwar-e-madina de
Phir dahar me phaila de iman ka ujiyara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ya rab meri hasti par kuchh khas karam farma
Bakhshe hue bando me mujh ko bhi raqam farma
Bhatke hue raahi ka rukh suye haram farma
Duniya ko ‘ataat se ghulzar-e-iram farma
Kar de mere maazi ke har saans ka kaffara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Thursday, June 28, 2018

Har khata pe sharamsar hun main Lyrics




Har khata pe sharamsar hun main
Ae khudaya gunahgar hun main

Jaankar bhoolkar jo kiya hai
Hai pata mujhko uski saza hai
Teri chaukhat pe sar na jhukaya
Bas zamane ko apna banaya
Teri rahmat hi to asra hai
Tujh se kahne ko kuchh na bacha hai

Mere sajdon pe aisi nazar kar
Main andheron me hun tu sahar kar
In duaon me aisa asar de
Rabb-e-kaaba mujhe maaf kar de
Nekiyon se mujhe jod de tu
Phir mera rukh udhar mod de tu
Aisa rasta mujhe tu dikha

Har khata par sharamsar hun main
Ae khudaya gunahgar hun main

Mere sajdon pe aisi nazar kar
Main andheron me tu sahar kar
Maaon se badh ke hai pyar tera
Aur tere siwa kaun mera
Gir na jaun mujhe tu utha

Har khata par sharamsar hun main
Ai khudaya gunahgar hun main

Jankar bhoolkar jo kiya hai
Hai pata mujhko uski saza hai
In duaon me aisa asar de
Rabb-e-kaaba mujhe maaf kar de
Mere ansoon sawali hain tere
Gir rahen hain ye daman pe mere
Ab to sun le meri ae khuda

Har khata par sharamsar hun main
Ai khudaya gunahgar hun main
Jankar bhulkar jo kiya hai
Hai pata mujhko uski saza hai

Teri chaukhat pe sar na jhukaya
Bas zamane ko apna banaya
Teri rahmat hi to asra hai
Tujh se kehne ko kuchh na bacha hai
Mere sajdon pe aisi nazar kar
Main andheron me hun tu sahar kar
In duaon me aisa asar de
Rabb-e-kaaba mujhe maaf kar de

Mujhy un logon ki parwa nahi jo...